Monday, November 9, 2009

COMBINED POETRY BY VIKRAM JI N ME.... (alternate lines to both)

aaj ik subah ik nayee shuruat hai
aaj ik subah ik nayee dua hai

kabhi mein sochun ki mein kal mein jiyun
kabhi sochun k aaj ka maza le loon

sochte sochte aur ek din guzar gaya
par mein sochna nahi chod paya

har pal sochne mein guzar gaya
ke agli subah ko ma aaj mein jiyunga

aaj mane socha ha ik nai shuruat ka
ik nai subah ki nai kiran ka

kuch krna ha kuch dikhana ha
har pal bas agay barhna hai

ab to ye pal humhara hai
ab to ye khushi humari hai

is ko sab yaadon mein basaana hai
is ko har dil ma sajana hai

har tamannaon ko pura karna hai
har ummeed ko manzil dekhana hai

ab rukna nahi in rahon pr
ab palatna nahi in rahon pr

inn rahon ki kathinaon se ladhna hai
har dam har qadam barhte jana hai

jana hai aaj uss dwar jahan logon ki rok tok na ho
jahan har aarzoo aur khuwab ki rok tok na ho

jahan koi apne aap ko na roke
jahan koi apna saath na choray

jahan har koi apne aap se khush ho
jahan har koi apne dil ka parwana ho

jahan zindagi se koi shikayat na ho
jahan roshni ma koi Andhera na ho

jahan har insaan muskura kar zindagi ko gale lagaye
jahan har koi har kisi ka sath nibhaye

chalo chalain us par jahan ik naye shuruat hai
chalo chalain bas jahan aap ka, mera, hum sab ka sath hai.

Monday, November 2, 2009

NEED I SAY MORE.... :D

kisi ki yad, yad se pucho, k wo kitna yad ati hai
din ki ghari, ghari k pehr, pehr k har pal ma kitna yad ati hai
zara pucho, zara samjho, k yad ki kitni yad ati hai
khabar mile gi, k pal pal har pal, bs tumhari yad ati hai

>:D<
love u

FROM ME TO ALL MY DEAR FRNDS

"roth na jana hum se k roothay ko manana nahi ata...
dost ho tum dost ka dil torna nahi ata...
kbhi parho k kya hai is dost k dil ma....
to parho ge fasana dhala duaon ma"